SEARCH RESULTS
Showing search results for "مسکن"
Sher MATCHES FOR "مسکن"
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
har ek samt yahaa.n vahshato.n kaa maskan hai
junuu.n ke vaaste sahraa o aashiyaana kyaa
Azhar Iqbal
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
mujh ko jannat se uThaa kar ye kahaa.n phe.nk diyaa
apne maskan se bahut duur rahuu.ngaa kaise
Arif Ansari
Sher
thii siyaahiyo.n kaa maskan mirii zindagii kii vaadii
tire husn ke tasadduq mujhe raushnii dikhaa dii
Amir Usmani
Sher
taraf-e-ka.aba na jaa haj ke liye naadaa.n hai
Gaur kar dekh ki hai KHaana-e-dil maskan-e-dost
Ameer Minai
Sher
ab to sab kaa tire kuuche hii me.n maskan Thahraa
yahii aabaad hai duniyaa me.n zamii.n tho.Dii sii
Nizam Rampuri
Sher
nazar me.n ka.aba kyaa Thahre ki yaa.n dair
rahaa hai muddato.n maskan hamaaraa
Qayem Chaandpuri
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
ek chehre me.n to mumkin nahii.n itne chehre
kis se karte jo ko.ii ishq dobaaraa karte
Obaidullah Aleem
Sher
tujhe kitaab se mumkin nahii.n faraaG ki tuu
kitaab-KHvaa.n hai magar saahib-e-kitaab nahii.n