SEARCH RESULTS
Showing search results for "مصرع"
Sher MATCHES FOR "مصرع"
Sher
vo maathaa kaa matl.a ho ki ho.nTho.n ke do misre
bachpan se Gazal hii merii mahbuuba rahii hai
Bashir Badr
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-diivaar ho jaa.e
jise jiinaa ho marne ke liye tayyaar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
Sher
aa gayaa dhyaan me.n mazmuu.n tirii yaktaa.ii kaa
aaj matl.a hu.aa misra.a mirii tanhaa.ii kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
zaraa ye duusraa misra.a durust farmaa.e.n
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraa.e-faroKHt
Afzal Khan
Sher
aasmaa.n kahte hai.n jis ko vo zamiin-e-sher hai
maah-e-nau misra.a hai vasf-e-abruu-e-KHamdaar me.n
Goya Faqir Mohammad
Sher
har gaam pe hii saa.e se ik misra.a-e-mauzuu.n
gar chand qadam chaliye to kyaa KHuub Gazal ho
Goya Faqir Mohammad
Sher
sher kii tarah jo hote hai.n mukammal kuchh log
vo binaa misra-e-saanii ke nahii.n hote hai.n
Nazir Wahid
Sher
hote hote na hu.aa misra-e-ra.ngii.n mauzuu.n
band kyuu.n ho gayaa KHuun-e-jigar aate aate
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
baraabar ek se misra.a nazar aate hai.n abruu ke
tavaarud kahiye yaa hai ek me.n mazmuun chorii kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
piirii hu.ii shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaa.er huu.n meraa misra-e-saanii laTak gayaa
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah