SEARCH RESULTS
Showing search results for "مصنوعی"
Sher MATCHES FOR "مصنوعی"
Sher
hai KHushii apnii vahii jo kuchh KHushii hai aap kii
hai vahii manzuur jo kuchh aap ko manzuur ho
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
ye tire ash.aar terii ma.anavii aulaad hai.n
apne bachche bechnaa 'iqbaal-saajid' chho.D de
Iqbal Sajid
Sher
KHud rahm kiijiye dil-e-ummiid-vaar par
aaphii nikaaliye ko.ii suurat nibaah kii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
siikhe hai.n mah-ruKHo.n ke liye ham musavvarii
taqriib kuchh to bahr-e-mulaaqaat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
Waqar Manvi
Sher
Gariib ko havas-e-zindagii nahii.n hotii
bas itnaa hai ki vo izzat se marnaa chaahtaa hai
Waqar Manvi
Sher
yuu.n intizaar-e-yaar me.n ham umr bhar rahe
jaise nazar Gariib kii allaah par rahe
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
bosa jo maa.ngaa bazm me.n farmaayaa yaar ne
ye din dahaa.De aa.e hai.n pag.Dii utaarne
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
kahaa.n milegii bhalaa is sitamgarii kii misaal
taras bhii khaataa hai mujh par tabaah kar ke mujhe
Waqar Manvi
Sher
mujh saa aashiq aap saa ma.ashuuq tab hove nasiib
jab KHudaa ik duusraa arz-o-samaa paidaa kare
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
jise zauq-e-baada-parastii nahii.n hai
mire saamne us kii hastii nahii.n hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
duniyaa kaa maal muft me.n chakhne ke vaaste
haath aayaa KHuub shaiKH ko hiila namaaz kaa