SEARCH RESULTS
Showing search results for "مطمئن"
Sher MATCHES FOR "مطمئن"
Sher
Qamar Abbas Qamar
Sher
jin hauslo.n se meraa junuu.n mutma.in na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho ga.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
baad-e-tark-e-aarzuu baiThaa huu.n kaisaa mutma.in
ho ga.ii aasaa.n har ik mushkil ba-aasaanii mirii
Tilok Chand Mahroom
Sher
usii ko zindagii kaa saaz de ke mutma.in huu.n mai.n
vo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aa.e hai.n
Nushur Wahidi
Sher
kisii kii mehrbaanii se mohabbat mutma.in kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhii aasuuda nahii.n hotii
Nazeer Siddiqui
Sher
kaaT kar par mutma.in sayyaad be-parvaa na ho
ruuh bulbul kii iraada rakhtii hai parvaaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
vo log mutma.in hai.n ki patthar hai.n un ke paas
ham KHush ki ham ne aa.iina-KHaane banaa.e hai.n
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
kisii tarah se nazar mutma.in nahii.n hotii
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huu.n
Anjum Saleemi
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
har shaKHs apnii apnii jagah yuu.n hai mutma.in
jaise ki jaantaa ho qazaa kaa hai ruKH kidhar
Nusrat Gwaliari
Sher
mire chaman kii KHizaa.n mutma.in rahe ki yahaa.n
KHudaa ke fazl se andesha-e-bahaar nahii.n
Hari Chand Akhtar
Sher
masruur-o-mutma.in hai.n bahut taajiraan-e-vaqt
kyaa zindagii ke KHvaab bhii niilaam ho ga.e
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
jalaa aashiyaa.n jab se dil mutma.in hai
na bijlii kaa KHatra na dha.Dkaa KHizaa.n kaa
Makhfi Lakhnavi
Sher
haadso.n ke KHauf se ehsaas kii had me.n na thaa
varna nafs-e-mutma.in saffaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
ga.e bhii jaan se aur ko.ii mutma.in na hu.aa
ki phir difaa.a na karne kii ham pe tohmat thii
Shariq Kaifi
Sher
mire chaman kii KHizaa.n mutma.in rahe ki yahaa.n
KHudaa ke fazl se andesha-e-bahaar nahii.n
Hari Chand Akhtar
Sher
vo jo anaa kii qaid me.n ab tak hai mutma.in
ab us ke lauTne kaa gumaa.n kis liye kare.n