SEARCH RESULTS
Showing search results for "معارف"
Sher MATCHES FOR "معارف"
Sher
ye kah ke dil ne mire hausle ba.Dhaa.e hai.n
Gamo.n kii dhuup ke aage KHushii ke saa.e hai.n
Mahirul Qadri
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
ik baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa
sau baar junuu.n ne tirii tasviir dikhaa dii
Mahirul Qadri
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
yahii hai zindagii apnii yahii hai bandagii apnii
ki un kaa naam aayaa aur gardan jhuk ga.ii apnii
Mahirul Qadri
Sher
ibtidaa vo thii ki jiine ke liye martaa thaa mai.n
intihaa ye hai ki marne kii bhii hasrat na rahii
Mahirul Qadri
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye faiz-e-ishq thaa ki hu.ii har KHataa mu.aaf
vo KHush na ho sake to KHafaa bhii na ho sake
Makhmoor Jalandhari
Sher
naaseh KHataa mu.aaf sune.n kyaa bahaar me.n
ham iKHtiyaar me.n hai.n na dil iKHtiyaar me.n
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
tum bhii is shahr me.n ban jaa.oge patthar jaise
ha.nsne vaalaa yahaa.n ko.ii hai na rone vaalaa
Kailash Mahir
Sher
ye baat sach hai tumhe.n zulm me.n mahaarat hai
ye baat bhii to haqiiqat hai mai.n nahii.n Dartaa
Sher
parvaane aa hii jaa.e.nge khi.nch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil me.n sirf sham.a jalaane kii der hai
Mahirul Qadri
Sher
kahaa.n ke maahir-o-kaamil ho tum hunar me.n 'adiil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
Adeel Zaidi
Sher
hame.n to yaad nahii.n ko.ii lamha-e-ishrat
kabhii tumhii.n ne kisii din ha.nsaa diyaa hogaa