SEARCH RESULTS
Showing search results for "معاہدہ"
Sher MATCHES FOR "معاہدہ"
Sher
ajab nahii.n ki isii baat par la.Daa.ii ho
mu.aahida ye hu.aa hai ki ab la.De.nge nahii.n
Shahzad Ahmad
Sher
dariyaa se to mu.aahida tai paa gayaa magar
kashtii kaa e.atibaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
dariyaa se to mu.aahida tai paa gayaa magar
kashtii kaa e.atibaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham
kahne me.n un ke saamne baat badal badal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
khultaa kisii pe kyuu.n mire dil kaa mo.aamla
shero.n ke intiKHaab ne rusvaa kiyaa mujhe
Mirza Ghalib
Sher
apne sabhii gile bajaa par hai yahii ki dilrubaa
meraa tiraa mo.aamla ishq ke bas kaa thaa nahii.n
Jaun Eliya
Sher
gavaahii kaise TuuTtii mu.aamla KHudaa kaa thaa
miraa aur us kaa raabta to haath aur du.aa kaa thaa
Parveen Shakir
Sher
ajiib shaKHs thaa lauTaa gayaa miraa sab kuchh
mu.aavza na liyaa dekh-bhaal karne kaa
Mohsin Asrar
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
hazaar shauq numaayaa.n the jis nazar se kabhii
vahii nigaah ba.Dii ajnabii sii lagtii hai
Masooda Hayat
Sher
ai mire chaaraagar tire bas me.n nahii.n mo.aamla
suurat-e-haal ke liye vaaqif-e-haal chaahiye
Saleem Kausar
Sher
tirii zamiin pe kartaa rahaa huu.n mazduurii
hai suukhne ko pasiina mu.aavza hai kahaa.n
Asim Wasti
Sher
har-chand ho mushaahida-e-haq kii guftuguu
bantii nahii.n hai baada-o-saaGar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
tujh se miraa mu.aamla hotaa ba-raah-e-raast
ye ishq darmiyaan na hotaa to Thiik thaa
Amjad Shahzad
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
KHushbuu sii ko.ii aa.e to lagtaa hai ki tum ho
shiisha kahii.n Takraa.e to lagtaa hai ki tum ho