SEARCH RESULTS
Showing search results for "معتوب"
Sher MATCHES FOR "معتوب"
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye
Azhar Inayati
Sher
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
gul ho mahtaab ho aa.iina ho KHurshiid ho miir
apnaa mahbuub vahii hai jo adaa rakhtaa ho
Meer Taqi Meer
Sher
dil bhii to.Daa to saliiqe se na to.Daa tum ne
bevafaa.ii ke bhii aadaab hu.aa karte hai.n
Mahtab Alam
Sher
paa.nv saakit ho ga.e 'sarvat' kisii ko dekh kar
ik kashish mahtaab jaisii chehra-e-dilbar me.n thii
Sarvat Husain
Sher
zabaa.n zabaa.n pe shor thaa ki raat KHatm ho ga.ii
yahaa.n sahar kii aas me.n hayaat KHatm ho ga.ii
Mahtab Zafar
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
jis kii adaa adaa pe ho insaaniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisaa bashar Dhuu.nDte hai.n ham
Ajiz Matvi
Sher
mohabbat baa.nTanaa siikho mohabbat hai ataa rab kii
mohabbat baa.nTne vaale taviil-ul-umr hote hai.n
Bashir Mehtaab
Sher
ye baato.n me.n narmii ye tahziib-o-aadaab
sabhii kuchh milaa ham ko urdu zabaa.n se
Bashir Mehtaab
Sher
ham ne us chehre ko baa.ndhaa nahii.n mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us ruKH ke mumaasil baa.ndhaa
Iftikhar Mughal
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mujh ko aKHbaar sii lagtii hai.n tumhaarii baate.n
har na.e roz nayaa fitna bayaa.n kartii hai.n