SEARCH RESULTS
Showing search results for "موج"
Sher MATCHES FOR "موج"
Sher
Asghar Gondvi
Sher
bachaa liyaa mujhe tuufaa.n kii mauj ne varna
kinaare vaale safiina miraa Dubo dete
Majrooh Sultanpuri
Sher
Allama Iqbal
Sher
tum se haasil hu.aa ik gahre samundar kaa sukuut
aur har mauj se la.Dnaa bhii tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
tum apne rang nahaa.o mai.n apnii mauj u.Duu.n
vo baat bhuul bhii jaa.o jo aanii-jaanii hu.ii
Obaidullah Aleem
Sher
sukuut-e-shaam kaa hissa tuu mat banaa mujh ko
mai.n rang huu.n so kisii mauj me.n milaa mujh ko
Ali Zaryoun
Sher
Fuzail Jafri
Sher
tere tohfe to sab achchhe hai.n magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye KHushbuu-e-hinaa aa.ii ho
Parveen Shakir
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
dariyaa se mauj mauj se dariyaa judaa nahii.n
ham se judaa nahii.n hai KHudaa aur KHudaa se ham
Raja Girdhari Parsad Baqi
Sher
adaa adaa tirii mauj-e-sharaab ho ke rahii
nigaah-e-mast se duniyaa KHaraab ho ke rahii
Jaleel Manikpuri
Sher
mauj mauj tuufaa.n hai mauj mauj saahil hai
kitne Duub jaate hai.n kitne bach nikalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
ai mauj-e-havaadis tujhe maaluum nahii.n kyaa
ham ahl-e-mohabbat hai.n fanaa ho nahii.n sakte
Asad Bhopali
Sher
dariyaa ko apnii mauj kii tuGyaaniyo.n se kaam
kashtii kisii kii paar ho yaa darmiyaa.n rahe