SEARCH RESULTS
Showing search results for "موجودہ"
Sher MATCHES FOR "موجودہ"
Sher
ho 'miir' kaa zamaana ki maujuuda vaqt ho
dillii se lakhna.uu kii hamesha Thanii rahii
Usman Minai
Sher
ik yaad kii maujuudgii sah bhii nahii.n sakte
ye baat kisii aur se kah bhii nahii.n sakte
Saqi Faruqi
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
hazaar chehre hai.n maujuud aadmii Gaa.eb
ye kis KHaraabe me.n duniyaa ne laa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Sher
maujo.n kii siyaasat se maayuus na ho 'faanii'
girdaab kii har tah me.n saahil nazar aataa hai
Fani Badayuni
Sher
Munawwar Rana
Sher
mai.n to thaa maujuud kitaab ke lafzo.n me.n
vo hii shaayad mujh ko pa.Dhnaa bhuul gayaa
Krishna Kumar Toor
Sher
maujo.n ke ittihaad kaa aalam na puuchhiye
qatra uThaa aur uTh ke samundar uThaa liyaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
hazaar shauq numaayaa.n the jis nazar se kabhii
vahii nigaah ba.Dii ajnabii sii lagtii hai
Masooda Hayat
Sher
kyuu.n girafta-dil nazar aatii hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujuud hai.n
Sarvat Husain
Sher
naaKHudaa maujo.n kii is narm-KHiraamii pe na jaa
yahii mauje.n to badal jaatii hai.n tuufaano.n me.n