SEARCH RESULTS
Showing search results for "مچان"
Sher MATCHES FOR "مچان"
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
haar ho jaatii hai jab maan liyaa jaataa hai
jiit tab hotii hai jab Thaan liyaa jaataa hai
Shakeel Azmi
Sher
'Gaalib' buraa na maan jo vaa.iz buraa kahe
aisaa bhii ko.ii hai ki sab achchhaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
kachche makaan jitne the baarish me.n bah ga.e
varna jo meraa dukh thaa vo dukh umr bhar kaa thaa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
mere alaava use KHud se bhii mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahii.n hotii
Balmohan panday
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
KHaatir se yaa lihaaz se mai.n maan to gayaa
jhuuTii qasam se aap kaa iimaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
charaaG-e-raahguzar laakh taabnaak sahii
jalaa ke apnaa diyaa raushnii makaan me.n laa
Akbar Hyderabadi
Sher
ham un ke sitam ko bhii karam jaan rahe hai.n
aur vo hai.n ki is par bhii buraa maan rahe hai.n
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
tabaah kar ga.ii pakke makaan kii KHvaahish
mai.n apne gaa.nv ke kachche makaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Sher
KHudaa ko maan ki tujh lab ke chuumne ke sivaa
ko.ii ilaaj nahii.n aaj kii udaasii kaa
Zafar Iqbal
Sher
maanii hai.n mai.n ne saika.Do.n baate.n tamaam umr
aaj aap ek baat mirii maan jaa.iye
Ameer Minai
Sher
der se aane par vo KHafaa thaa aaKHir maan gayaa
aaj mai.n apne baap se milne qabristaan gayaa
Afzal Khan
Sher
kuchh kah rahii hai.n aap ke siine kii dha.Dkane.n
meraa nahii.n to dil kaa kahaa maan jaa.iye