SEARCH RESULTS
Showing search results for "میان"
Sher MATCHES FOR "میان"
Sher
abhii miyaan me.n talvaar mat rakho apnii
abhii to shahr me.n ik be-qusuur baaqii hai
Sarfraz Amrohi
Sher
KHuun kii chaadar mubaarak baa-hayaa talvaar ko
myaan se baahar nikal kar bhii na uryaanii hu.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
miyaan-e-hashr ye kaafir ba.De itraa.e phirte hai.n
maza aa jaa.e aise me.n agar sun le KHudaa merii
Muztar Khairabadi
Sher
abruu aa.nchal me.n dupaTTe ke chhupaanaa hai bajaa
turk kyaa myaan me.n rakhte nahii.n talvaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
dikhaa.ii bhii nahii.n degii badan Garqaab kar ke
miyaan-e-vasl ik chaalaak KHaak u.Dtii rahegii
Kamran Nafees
Sher
qais jangal me.n akelaa hai mujhe jaane do
KHuub guzregii jo mil baiThe.nge diivaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
haar ho jaatii hai jab maan liyaa jaataa hai
jiit tab hotii hai jab Thaan liyaa jaataa hai
Shakeel Azmi
Sher
'Gaalib' buraa na maan jo vaa.iz buraa kahe
aisaa bhii ko.ii hai ki sab achchhaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
kachche makaan jitne the baarish me.n bah ga.e
varna jo meraa dukh thaa vo dukh umr bhar kaa thaa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
maa.ngii thii ek baar du.aa ham ne maut kii
sharminda aaj tak hai.n miyaa.n zindagii se ham
Unknown
Sher
mere alaava use KHud se bhii mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahii.n hotii
Balmohan panday
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
KHaatir se yaa lihaaz se mai.n maan to gayaa
jhuuTii qasam se aap kaa iimaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
shikast o fat.h miyaa.n ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaa.n ne KHuub kiyaa