SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناامید"
Sher MATCHES FOR "ناامید"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Allama Iqbal
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
uThte nahii.n hai.n ab to du.aa ke liye bhii haath
kis darja naa-umiid hai.n parvardigaar se
Akhtar Shirani
Sher
tum aise kaun KHudaa ho ki umr bhar tum se
umiid bhii na rakhuu.n naa-umiid bhii na rahuu.n
Jameeluddin Aali
Sher
uThtaa huu.n us kii bazm se jab ho ke naa-umiid
phir phir ke dekhtaa huu.n ko.ii ab pukaar le
Nizam Rampuri
Sher
naa-umiid ahl-e-KHaraabaat nahii.n rahmat se
baKHsh degaa vo kariim apne gunaahgaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish me.n
vo rang utar hii ga.e jo utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kuchh dard kii shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hai.n fariyaad nahii.n karte