SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناخن"
Sher MATCHES FOR "ناخن"
Sher
dil se miTnaa tirii a.ngusht-e-hinaa.ii kaa KHayaal
ho gayaa gosht se naaKHun kaa judaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
KHaamoshii ke naaKHun se chhil jaayaa karte hai.n
ko.ii phir in zaKHmo.n par aavaaze.n maltaa hai
Ameer Imam
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kyaa badan hogaa ki jis ke kholte jaame kaa band
barg-e-gul kii tarah har naaKHun mo.attar ho gayaa
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
chuTkiyaa.n dil me.n mire lene lagaa naaKHun-e-ishq
gul-badan dekh ke us gul kaa badan yaad aayaa
Amanat Lakhnavi
Sher
Liyaqat Ali Aasim
Sher
naaKHun kaa rang siina-KHaraashii se ye hu.aa
surKHii shafaq se aatii hai jaise hilaal par
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
naaKHun na pahu.nchaa aabla-e-dil talak 'hasan'
ham mar ga.e ye ham se na aaKHir girah ga.ii
Meer Hasan
Sher
pursaan-e-pareshaanii-e-insaa.n nahii.n ko.ii
qismat kii girah naaKHun-e-tadbiir se kholo
Abdul Aziz Khalid
Sher
goyaa girah bahaane kii ek us pe thii lagii
naaKHun ke lagte hii jo na Thahraa izaar-band
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Shah Naseer
Sher
ba-shakl-e-naaKHun-e-a.ngusht sar kaTaane se
hayaat miltii hai jab intiqaal hotaa hai
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
khurach khurach ke tujhe zehn se miTaa.uu.ngaa
mai.n apne hosh ke naaKHun zaraa ba.Dhaa to luu.n
Ahmad Sageer
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa