SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناف"
Sher MATCHES FOR "ناف"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
kyaa kyaa badan-e-saaf nazar aate hai.n ham ko
kyaa kyaa shikam o naaf nazar aate hai.n ham ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
KHayaal-e-naaf-e-butaa.n se ho kyuu.n ki dil jaa.n-bar
nikalte ko.ii bha.nvar se na Duubtaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
tumhaarii zulf na girdaab-e-naaf tak pahu.nchii
hu.ii na chashma-e-haivaa.n se faiz-yaab ghaTaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Tanveer Sipra
Sher
Hatim Ali Mehr
Sher
tere KHayaal-e-naaf se chakkar me.n kiyaa hai dil
girdaab se nikal ke shanaavar nahii.n phiraa
Shah Naseer
Sher
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tire naam pe ronaa aayaa