SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناقہ_گر"
Sher MATCHES FOR "ناقہ_گر"
Sher
gar hamaare qatl ke mazmuu.n kaa vo naama likhe
baiza-e-faulaad se nikle.n kabuutar saik.Do.n
Goya Faqir Mohammad
Sher
kis qadar thaa garm naala bulbul-e-naashaad kaa
aag phuulo.n me.n lagii ghar jal gayaa sayyaad kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
naama kyaa yaar ko pahu.nchaayaa ki me.araaj hu.ii
arsh par baiTh ke guu.njegaa kabuutar apnaa
Imdad Ali Bahr
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
sayyaad naala san ke jo royaa to lutf kiyaa
kunj-e-qafas me.n baaG se u.D u.D ke aa.e gil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gul aate hai.n hastii me.n adam se hama-tan-gosh
bulbul kaa ye naala nahii.n afsaana hai us kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
tuu hai vo gul ai jaa.n ki tire baaG me.n hai shauq
jibriil ko bulbul kii tarah naara-zanii kaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
ham ne jaanaa thaa likhegaa tuu ko.ii harf ai 'miir'
par tiraa naama to ik shauq kaa daftar niklaa
Meer Taqi Meer
Sher
ham apnii ruuh ko qaasid banaa ke bheje.nge
tiraa guzar jo vahaa.n naama-bar nahii.n na sahii
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
baate.n ka.ii zabaanii mai.n ne kahii hai.n us se
kyaa jaaniye kahegaa vaa.n jaa ke naama-bar kyaa