SEARCH RESULTS
Showing search results for "نالا"
Sher MATCHES FOR "نالا"
Sher
aah kartaa huu.n to aate hai.n pasiine un ko
naala kartaa huu.n to raato.n ko vo Dar jaate hai.n
Saail Dehlvi
Sher
be-dha.Dak pichhle pahar naala-o-shevan na kare.n
kah de itnaa to ko.ii taaza-giraftaaro.n se
Yagana Changezi
Sher
umr fariyaad me.n barbaad ga.ii kuchh na hu.aa
naala mash.huur Galat hai ki asar kartaa hai
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
is zamaane me.n KHamoshii se nikaltaa nahii.n kaam
naala pur-shor ho aur zoro.n pe fariyaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
gul aate hai.n hastii me.n adam se hama-tan-gosh
bulbul kaa ye naala nahii.n afsaana hai us kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Rabia Sultana Nashad
Sher
mat puuchh vaardaat-e-shab-e-hijr ai 'nasiir'
mai.n kyaa kahuu.n jo kaar-e-numaayaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
aag se paanii me.n bujhte vaqt uThtii hai sadaa
har ko.ii darmaa.ndagii me.n naale se naa-chaar hai
Mirza Ghalib
Sher
vo sune.n yaa na sune.n naala-o-fariyaad 'aziiz'
aap hargiz na kare.n tark taqaazaa apnaa
Aziz Hyderabadi
Sher
vo naala jo siine se na aayaa kabhii lab tak
ha.ngaamo.n me.n duniyaa ke use tuu ne sunaa hai