SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناموس"
Sher MATCHES FOR "ناموس"
Sher
ye karbalaa hai nazr-e-balaa ham hu.e ki tum
naamuus-e-qaafila pe fidaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Sher
apnii naamuus kii aatii hai hifaazat jin ko
jaan de dete hai.n dastaar nahii.n dete hai.n
Abdushshukoor Aasi
Sher
dil ki hai sarmaaya-daar-e-izzat o naamuus-e-husn
hai yahii markaz yahii hai daa.era mere liye
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
naamuus-e-zindagii Gam-e-insaa.n me.n Dhaal kar
suutii hai raat jaam se suuraj nikaal kar
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
naaquus se Garaz hai na matlab azaa.n se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostaa.n se hai
Zafar Ali Khan
Sher
'Gaalib' vo shaKHs thaa hama-daa.n jis ke faiz se
ham se hazaar hech-madaa.n naamvar hu.e
Hargopal Tafta
Sher
Shaad Aarfi
Sher
hai.n vo suufii jo kabhii naalaa-e-naaquus sunaa
vajd karne lage ham dil kaa ajab haal hu.aa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
raushan hai meraa naam ba.Daa naamvar huu.n mai.n
shaahid hai.n aasmaa.n ke sitaare qamar huu.n mai.n
Qamar Jalalvi
Sher
dil kyaa kare jo raaz mohabbat kaa khul gayaa
mai.n kyaa karuu.n ki ishq hii ik naamvar se hai
Muztar Khairabadi
Sher
raat din naaquus kahte hai.n ba-aavaaz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar buto.n me.n tuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
chauraaho.n kaa to husn ba.Dhaa shahr ke magar
jo log naamvar the vo patthar ke ho ga.e
Azhar Inayati
Sher
apne desh me.n ghar ghar amn hai ki jhag.De hai.n
dekho roz-naamo.n kii surKHiyaa.n bataa.e.ngii
Bismil Naqshbandi
Sher
mat halaak itnaa karo mujh ko malaamat kar kar
nek-naamo tumhe.n kyaa mujh se hai bad-naam se kaam