SEARCH RESULTS
Showing search results for "ناوک"
Sher MATCHES FOR "ناوک"
Sher
naavak-e-naaz se mushkil hai bachaanaa dil kaa
dard uTh uTh ke bataataa hai Thikaanaa dil kaa
Ameer Minai
Sher
naavak-andaaz jidhar diida-e-jaanaa.n ho.nge
niim-bismil ka.ii ho.nge ka.ii be-jaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
ta.Dap rahaa hai dil ik naavak-e-jafaa ke liye
usii nigaah se phir dekhiye KHudaa ke liye
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kyuu.n na Thahre.n hadaf-e-naavak-e-be-daad ki ham
aap uThaa lete hai.n gar tiir KHataa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-naam se mat maar mujhe
Mustafa Zaidi
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
bataa tuu dil ke bachaane kii ko.ii raah bhii hai
tirii nigaah kii naavak-fagan panaah bhii hai
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
tujh saa ko.ii jahaan me.n naazuk-badan kahaa.n
ye pa.nkhu.Dii se ho.nT ye gul saa badan kahaa.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
le saa.ns bhii aahista ki naazuk hai bahut kaam
aafaaq kii is kaargah-e-shiishagarii kaa
Meer Taqi Meer
Sher
dekhnaa achchhaa nahii.n zaanuu pe rakh kar aa.ina
dono.n naazuk hai.n na rakhiyo aa.ine par aa.ina
Dagh Dehlvi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
ye vafaa kii saKHt raahe.n ye tumhaare paa.nv naazuk
na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke
Khumar Barabankavi
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa