SEARCH RESULTS
Showing search results for "نا_بلد"
Sher MATCHES FOR "نا_بلد"
Sher
hargiz kiyaa na baad-e-KHizaa.n kaa bhii intizaar
vo taaza gul thaa mai.n ki khilaa aur jha.D gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
na band kar ise fasl-e-bahaar me.n saaqii
na Daal duKHtar-e-raz kaa achaar shiishe me.n
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
buland naam na hogaa sitam-shi.aarii se
tum aasmaan na ho jaa.oge sataa ke mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
havaa.e.n rok na paa.ii.n bha.nvar Dubo na sake
vo ek naav jo azm-e-safar ke baa'd chalii
Shaukat Pardesi
Sher
KHuun miraa kar ke lagaanaa na hinaa mere ba.ad
dast ra.ngii.n na ho.n a.ngusht-numaa mere ba.ad
Goya Faqir Mohammad
Sher
ba.ad marne ke bhii chho.Dii na rifaaqat merii
merii turbat se lagii baiThii hai hasrat merii
Ameer Minai
Sher
Bashir Badr
Sher
hamaare baad ko.ii sar-parast mil na sakaa
yatiim-KHaane me.n rakkhaa gayaa mohabbat ko
Haseebul Hasan
Sher
ye intizaar na Thahraa ko.ii balaa Thahrii
kisii kii jaan ga.ii aap kii adaa Thahrii
Naseem Amrohvi
Sher
palke.n hai.n balaa aa.nkh balaa zulf balaa hai
kyuu.nkar na kahe.n sab ki hasii.n tum ho balaa ke
Jaleel Manikpuri
Sher
nii.nd aa.egii bhalaa kaise use shaam ke ba.ad
roTiyaa.n bhii na mayassar ho.n jise kaam ke ba.ad
Azhar Iqbal
Sher
ajiib baat hai din bhar ke ehtimaam ke ba.ad
charaaG ek bhii raushan hu.aa na shaam ke ba.ad
Shaukat Wasti
Sher
bas ek baar kisii ne gale lagaayaa thaa
phir us ke baad na mai.n thaa na meraa saayaa thaa
Zafar Iqbal
Sher
aa ke sajjaada-nashii.n qais hu.aa mere ba.ad
na rahii dasht me.n KHaalii mirii jaa mere ba.ad