SEARCH RESULTS
Showing search results for "نبات"
Sher MATCHES FOR "نبات"
Sher
misrii kare nabaat tire lab ke ruu-ba-ruu
kyaa kahiye kis qadar tiraa shiirii.n kalaam hai
Munshi Tota Ram shayan
Sher
Sakhi Lakhnvi
Sher
is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko.ii nibaah rahaa ho raqiib se
Sahir Ludhianvi
Sher
Momin Khan Momin
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
mai.n bhii kuchh KHush nahii.n vafaa kar ke
tum ne achchhaa kiyaa nibaah na kii
Momin Khan Momin
Sher
Gam hai na ab KHushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paa.e zamaane guzar ga.e
Khumar Barabankavi
Sher
kis mu.nh se kah rahe ho hame.n kuchh Garaz nahii.n
kis mu.nh se tum ne va.ada kiyaa thaa nibaah kaa
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n us ko dekh ke chup thaa usii kii shaadii me.n
mazaa to saaraa isii rasm ke nibaah me.n thaa
Muneer Niyazi
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kab tak najaat paa.e.nge vahm o yaqii.n se ham
uljhe hu.e hai.n aaj bhii duniyaa o dii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
dil agar dil hai to vaabasta-e-Gam bhii hogaa
nik.hat-e-gul bhii kahii.n gul se judaa rahtii hai
Unknown
Sher
gulshan-parast huu.n mujhe gul hii nahii.n aziiz
kaa.nTo.n se bhii nibaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
nik.hat vahii suruur vahii dil-kashii vahii
aamad ye aap kii hai ki jho.nkaa bahaar kaa