SEARCH RESULTS
Showing search results for "نجیب"
Sher MATCHES FOR "نجیب"
Sher
kis ne vafaa ke naam pe dhokaa diyaa mujhe
kis se kahuu.n ki meraa gunahgaar kaun hai
Najeeb Ahmad
Sher
nazar bhar ke jo dekh sakte hai.n tujh ko
mai.n un kii nazar dekhnaa chaahtaa huu.n
Tajwar Najibabadi
Sher
maut se ziist kii takmiil nahii.n ho saktii
raushnii KHaak me.n tahliil nahii.n ho saktii
Najeeb Ahmad
Sher
zamii.n pe paa.nv zaraa ehtiyaat se dharnaa
ukha.D ga.e to qadam phir kahaa.n sambhalte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
zindagii bhar kii kamaa.ii ye ta'alluq hii to hai
kuchh bache yaa na bache is ko bachaa rakhte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
ik tirii yaad gale aise pa.Dii hai ki 'najiib'
aaj kaa kaam bhii ham kal pe uThaa rakhte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
phir yuu.n hu.aa ki mujh pe hii diivaar gir pa.Dii
lekin na khul sakaa pas-e-diivaar kaun hai
Najeeb Ahmad
Sher
Najeeb Ahmad
Sher
mirii zamii.n mujhe aaGosh me.n sameT bhii le
na aasmaa.n kaa rahuu.n mai.n na aasmaa.n meraa
Najeeb Ahmad
Sher
uf vo nazar ki sab ke liye dil-navaaz hai
merii taraf uThii to talvaar ho ga.ii
Tajwar Najibabadi
Sher
KHudaa mujh ko tujh se hii mahruum kar de
jo kuchh aur tere sivaa chaahtaa huu.n
Tajwar Najibabadi
Sher
ham to samjhe the ki chaaro.n dar muqaffal ho chuke
kyaa KHabar thii ek darvaaza khulaa rah jaa.egaa
Najeeb Ahmad
Sher
bardaasht dard-e-ishq kii dushvaar ho ga.ii
ab zindagii bhii jaan kaa aazaar ho ga.ii
Tajwar Najibabadi
Sher
Najeeb Ahmad
Sher
KHema-e-jaa.n kii tanaabo.n ko ukha.D jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa Gam bhii bichha.D jaanaa thaa