SEARCH RESULTS
Showing search results for "نشیمنوں"
Sher MATCHES FOR "نشیمنوں"
Sher
Allama Iqbal
Sher
kyaa husn ne samjhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham KHaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
mirii barbaadiyo.n kaa ham-nashiino
tumhe.n kyaa KHud mujhe bhii Gam nahii.n hai
Asrarul Haq Majaz
Sher
nasheman par nasheman is qadar taa'miir kartaa jaa
ki girte girte bijlii aap KHud be-zaar ho jaa.e
Saeed Shahidi
Sher
tiir pe tiir nishaano.n pe nishaane badle
shukr hai husn ke andaaz puraane badle
Syed Arif Ali Arif
Sher
ye ghar miraa gulshan hai gulshan kaa KHudaa haafiz
allaah nigahbaan nasheman kaa KHudaa haafiz
Unknown
Sher
KHud aag de ke apne nasheman ko aap hii
bijlii se intiqaam liyaa hai kabhii kabhii
Saeed Shahidi
Sher
tamaam umr qafas me.n guzaar dii ham ne
KHabar nahii.n ki nasheman kii zindagii kyaa hai
Anwar Sabri
Sher
ye sochte hii rahe aur bahaar KHatm hu.ii
kahaa.n chaman me.n nasheman bane kahaa.n na bane
Asar Lakhnavi
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
Ali Ahmad Jalili
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
KHudaa jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egaa
giraftaar-e-qafas par yaa giraftaar-e-nasheman par
Yagana Changezi
Sher
ashk vo hai jo rahe aa.nkh me.n gauhar ban kar
aur TuuTe to bikhar jaa.e nagiino.n kii tarah