SEARCH RESULTS
Showing search results for "نشے"
Sher MATCHES FOR "نشے"
Sher
chale to paa.nv ke niiche kuchal ga.ii ko.ii shai
nashe kii jho.nk me.n dekhaa nahii.n ki duniyaa hai
Shahab Jafri
Sher
ek jaise lag rahe hai.n ab sabhii chehre mujhe
hosh kii ye intihaa hai yaa bahut nashshe me.n huu.n
Bharat Bhushan Pant
Sher
ai gardisho tumhe.n zaraa taaKHiir ho ga.ii
ab meraa intizaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Ganesh Bihari Tarz
Sher
Muneer Niyazi
Sher
dariyaa-e-husn aur bhii do haath ba.Dh gayaa
a.ng.Daa.ii us ne nashshe me.n lii jab uThaa ke haath
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
mirii sharaab kii tauba pe jaa na ai vaa.iz
nashe kii baat nahii.n e'tibaar ke qaabil
Hafeez Jaunpuri
Sher
ab mai.n huduud-e-hosh-o-KHirad se guzar gayaa
Thukraa.o chaahe pyaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Ganesh Bihari Tarz
Sher
naazuk-mizaaj aap qayaamat hai.n 'miir' jii
juu.n shiisha mere mu.nh na lago mai.n nashe me.n huu.n
Meer Taqi Meer
Sher
Waliullah Muhib
Sher
tum hosh me.n jab aa.e to aafat hii ban ke aa.e
ab mere paas jab bhii tum aa.o nashe me.n aa.o
Wamiq Jaunpuri
Sher
girne do tum mujhe miraa saaGar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Shahid Kabir
Sher
rindo.n ke haath se nahii.n TuuTii ye saaqiyaa
nashshe me.n chuur ho ga.ii botal sharaab kii
Jaleel Manikpuri
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
nashshe me.n suujhtii hai mujhe duur duur kii
naddii vo saamne hai sharaab-e-tuhuur kii
Nazm Tabatabai
Sher
sub.h-dam mujh se lipaT kar vo nashe me.n bole
tum bane baad-e-sabaa ham gul-e-nasriin hu.e
Insha Allah Khan Insha
Sher
Thukraa.o ab ki pyaar karo mai.n nashe me.n huu.n
jo chaaho mere yaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Shahid Kabir
Sher
ye zindagii kii raat hai taariik kis qadar
dono.n siro.n pe sham.a jalaa.o nashe me.n aa.o