SEARCH RESULTS
Showing search results for "نظارا"
Sher MATCHES FOR "نظارا"
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hu.aa yuu.n ki phir mujhe zindagii ne basar kiyaa
ko.ii din the jab mujhe har nazaara hasii.n milaa
Ada Jafarey
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
garmii-e-shauq-e-nazaara kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saaya-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Nushur Wahidi
Sher
hazaar baar kiyaa azm-e-tark-e-nazzaara
hazaar baar magar dekhnaa pa.Daa mujh ko
Moin Ahsan Jazbi
Sher
barq kyaa sharaara kyaa rang kyaa nazaara kyaa
har diye kii miTTii me.n raushnii tumhaarii hai
Unknown
Sher
taab-e-nazzaara nahii.n aa.ina kyaa dekhne duu.n
aur ban jaa.e.nge tasviir jo hairaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
shauq-e-nazzaara-e-diidaar me.n tere hamdam
jaan aa.nkho.n me.n mirii jaan rahaa kartii hai
Rind Lakhnavi
Sher
KHvaahish hai ki KHud ko bhii kabhii duur se dekhuu.n
manzar kaa nazaara karuu.n manzar se nikal kar
Saud Usmani
Sher
nazzaare ne bhii kaam kiyaa vaa.n naqaab kaa
mastii se har nigah tire ruKH par bikhar ga.ii
Mirza Ghalib
Sher
agar nazaara hai manzuur KHastaa-haalo.n kaa
to aa.o khol de.n juu.Daa tumhaare baalo.n kaa