SEARCH RESULTS
Showing search results for "نقصان"
Sher MATCHES FOR "نقصان"
Sher
raat ko jiit to paataa nahii.n lekin ye charaaG
kam se kam raat kaa nuqsaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
mujh saa ko.ii jahaan me.n naadaan bhii na ho
kar ke jo ishq kahtaa hai nuqsaan bhii na ho
Saadullah Shah
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
ishq tuu ne ba.Daa nuqsaan kiyaa hai meraa
mai.n to us shaKHs se nafrat bhii nahii.n kar saktaa
Liaqat Jafri
Sher
zehn par bojh rahaa, dil bhii pareshaan hu.aa
in ba.De logo.n se mil kar ba.Daa nuqsaan hu.aa
Tariq Qamar
Sher
kabhii kabhii kitnaa nuqsaan uThaanaa pa.Dtaa hai
airo.n Gairo.n kaa ehsaan uThaanaa pa.Dtaa hai
Alam Khursheed
Sher
dil me.n tum ho na jalaa.o mire dil ko dekho
meraa nuqsaan nahii.n apnaa ziyaa.n kiijiyegaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
apne viiraane kaa nuqsaan nahii.n chaahtaa mai.n
ya.anii ab duusraa insaan nahii.n chaahtaa mai.n
Azhar Abbas
Sher
dilo.n pe dard kaa imkaan bhii ziyaada nahii.n
vo sabr hai abhii nuqsaan bhii ziyaada nahii.n
Vipul Kumar
Sher
to.Daa nahii.n jaa saktaa paimaan mohabbat kaa
nuqsaan KHud apnaa hai nuqsaan mohabbat kaa
Qadr Oraizi
Sher
tujh ko supurdagii me.n simaTnaa bhii hai zaruur
sachchaa hai kaarobaar to nuqsaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Sher
ba.ad marne ke bhii miTTii mirii barbaad rahii
mirii taqdiir ke nuqsaan kahaa.n jaate hai.n
Zaheer Dehlvi
Sher
ek tum ho ki tumhe.n sochnaa aataa hii nahii.n
ek ham hai.n ki bahut soch ke nuqsaan me.n hai.n