SEARCH RESULTS
Showing search results for "نقطہ"
Sher MATCHES FOR "نقطہ"
Sher
surme kaa til banaa ke ruKH-e-laa-javaab me.n
nuqta ba.Dhaa rahe ho KHudaa kii kitaab me.n
Qamar Jalalvi
Sher
lamhe lamhe se banii hai ye zamaane kii kitaab
nuqta nuqta yahaa.n sadiyo.n kaa safar lagtaa hai
Moid Rasheedi
Sher
KHudaa kaatib kii saffaakii se bhii mahfuuz farmaa.e
agar nuqta u.Daa de naam-zad naamard ho jaa.e
Raghib Muradabadi
Sher
naqsha uThaa ke ko.ii nayaa shahr Dhuu.nDhiye
is shahr me.n to sab se mulaaqaat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
shahr kii is bhii.D me.n chal to rahaa huu.n
zehn me.n par gaa.nv kaa naqsha rakhaa hai
Tahir Azeem
Sher
sunaa hai shahr kaa naqsha badal gayaa 'mahfuuz'
to chal ke ham bhii zaraa apne ghar ko dekhte hai.n
Ahmad Mahfuz
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
Javed Akhtar
Sher
phir ko.ii vus.at-e-aafaaq pe saaya Daale
phir kisii aa.nkh ke nuqte me.n utaaraa jaa.uu.n
Adil Mansuri
Sher
raat bhar un kaa tasavvur dil ko ta.Dpaataa rahaa
ek naqsha saamne aataa rahaa jaataa rahaa
Akhtar Shirani
Sher
faqiir log rahe apne apne haal me.n mast
nahii.n to shahr kaa naqsha badal chukaa hotaa
Nomaan Shauque
Sher
puraane ghar kii shikasta chhato.n se uktaa kar
na.e makaan kaa naqsha banaataa rahtaa huu.n
Asad Badayuni
Sher
is shahar me.n KHvaabo.n kii imaarat nahii.n bantii
behtar hai ki ta.amiir kaa naqsha hii badal lo
Nafas Ambalvi
Sher
kam nahii.n jalvagarii me.n, tire kuuche se bahisht
yahii naqsha hai vale is qadar aabaad nahii.n