SEARCH RESULTS
Showing search results for "نمو"
Sher MATCHES FOR "نمو"
Sher
merii numuu hai tere taGaaful se vaabasta
kam baarish bhii mujh ko kaafii ho saktii hai
Azhar Faragh
Sher
ye naa-guziir hai ummiid kii numuu ke liye
guzartaa vaqt kahii.n tham gayaa to kyaa hogaa?
Jawad Sheikh
Sher
ab is ke baa'd mirii quvvat-e-numuu jaane
mai.n lauT aayaa huu.n miTTii me.n gaa.D kar KHud ko
Abhishek Shukla
Sher
rukii rukii sii hai barsaat KHushk hai saavan
ye aur baat ki mausam yahii numuu kaa hai
Junaid Hazin Lari
Sher
Najmus Saqib
Sher
us ne merii shaaKHo.n ko is tarah numuu baKHshii
zaKHm ke khile.nge phuul dard kaa chaman hogaa
Abida Karamat
Sher
naKHl-e-anaa me.n zor-e-numuu kis Gazab kaa thaa
ye pe.D to KHizaa.n me.n bhii shaadaab rah gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
kaf-e-KHizaa.n pe khilaa mai.n is e'tibaar ke saath
ki har numuu kaa ta'alluq nahii.n bahaar ke saath
Abid Syal
Sher
mire aqab me.n hai aavaaza-e-numuu kii guu.nj
hai dasht-e-jaa.n kaa safar kaamyaab apnii jagah
Ishrat Zafar
Sher
numuu ke rab kabhii us munsifii kii daad to de
shajar ko.ii na lagaayaa samar sameTaa hai
Azra Waheed
Sher
Badr Muneer
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
mujh ko faqat shajar kii numuu se hai vaasta
sahraa ko saaya-daar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
ham numuu paate rahe hai.n apnii himmat se ‘sho’aib’
pattharo.n me.n ugne vaale aur kitne sabz ho.n
Shoaib Kiani
Sher
ye intihaa-e-kaar-e-numuu hai ki jaan-e-jaa.n
us ne tire badan sii ko.ii chiiz KHalq kii
Kazim Rizvi
Sher
mujh ko faqat shajar kii numuu se hai vaasta
sahraa ko saaya-daar nahii.n kar rahaa huu.n