SEARCH RESULTS
Showing search results for "نوازا"
Sher MATCHES FOR "نوازا"
Sher
ik terii tamannaa ne kuchh aisaa navaazaa hai
maa.ngii hii nahii.n jaatii ab ko.ii du.aa ham se
Ejaz Kamravi
Sher
jis ne bhii mujhe dekhaa hai patthar se navaazaa
vo kaun hai.n phuulo.n ke jinhe.n haar mile hai.n
Hakeem Nasir
Sher
navaazaa hai mujhe patthar se jis ne
use mai.n phuul de kar dekhtaa huu.n
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
kisii ne ranj diyaa aur kisii ne gaalii dii
ba-qadr-e-zarf navaazaa hai dosto.n ne mujhe
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
harf-e-dushnaam se yuu.n us ne navaazaa ham ko
ye malaamat hii mohabbat kaa sila ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
baap ziina hai jo le jaataa hai uu.nchaa.ii tak
maa.n du.aa hai jo sadaa saaya-figan rahtii hai
Sarfraz Nawaz
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
aaj phir maa.n mujhe maaregii bahut rone par
aaj phir gaa.nv me.n aayaa hai khilaune vaalaa
Nawaz Zafar
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
vo dil-navaaz hai lekin nazar-shanaas nahii.n
miraa ilaaj mire chaara-gar ke paas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
de nishaanii ko.ii aisii ki sadaa yaad rahe
zaKHm kii baat hai kyaa zaKHm to bhar jaa.e.nge
Bashar Nawaz
Sher
Bashir Badr
Sher
aah! kal tak vo navaazish! aaj itnii be-ruKHii
kuchh to nisbat chaahiye anjaam ko aaGaaz se
Ghulam Bhik Nairang
Sher
Bashar Nawaz
Sher
safar hai shart musaafir-navaaz bahutere
hazaar-haa shajar-e-saaya-daar raah me.n hai