SEARCH RESULTS
Showing search results for "نگاہ_شوخ"
Sher MATCHES FOR "نگاہ_شوخ"
Sher
zanjiir zulf-e-siyaah samundar nigaah-e-shoKH
jaa.uu.n kahaa.n faraar kaa rasta ko.ii to ho
Yaseen Zameer
Sher
nigaah-e-shauq kii hairaaniyo.n ko kyaa kahiye
unhe.n bulaa bhii liyaa e'tibaar bhii na kiyaa
Unknown
Sher
nigaah-e-shauq agar dil kii tarjumaa.n ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kaa raaz-daa.n ho jaa.e
Haya Lakhnavi
Sher
merii nigaah-e-shauq kaa jaaduu bhii kam nahii.n
aa.nkho.n me.n aa.nkhe.n Daal ke dekhaa na kiijiye
Anwar Shadani
Sher
merii nigaah-e-shauq bhii kuchh kam nahii.n magar
phir bhii tiraa shabaab tiraa hii shabaab hai
Jigar Moradabadi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
nigaah-e-shauq ne mahshar me.n saaf taa.D liyaa
kahaa.n vo chhupte ki aa.nkho.n me.n the samaa.e hu.e
Jigar Moradabadi
Sher
Salik Lakhnavi
Sher
dekho nigaah-e-shauq se merii taraf mujhe
ye mudda.aa hai aur ko.ii mudda.aa nahii.n
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
ishq kii betaabiyo.n par husn ko rahm aa gayaa
jab nigaah-e-shauq ta.Dpii parda-e-mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
na ho rihaa.ii qafas se agar nahii.n hotii
nigaah-e-shauq to be-baal-o-par nahii.n hotii
Qamar Jalalvi
Sher
intizaar aap kaa aisaa hai ki dam kahtaa hai
nigah-e-shauq huu.n aa.nkho.n se nikal jaa.uu.ngaa
Rasheed lakhnavi
Sher
phir ishaaro.n se bulaate hai.n vo apnii jaanib
aur jo ye bhii nigah-e-shauq kaa dhoka niklaa
Hazin Siddiqi
Sher
apnii tasviir-e-majaazii ko.ii rakh do ki kahii.n
kaarvaan-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jaa.e
Ijtiba Rizvi
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
ham sii.n masto.n ko bas hai terii nigaah
sub.h uTh kar KHumaar kii KHaatir
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
hazaar shauq numaayaa.n the jis nazar se kabhii
vahii nigaah ba.Dii ajnabii sii lagtii hai
Masooda Hayat
Sher
shoKHii se har shaguufe ke Tuk.De u.Daa diye
jis Gunche par nigaah pa.Dii dil banaa diyaa
 
 