SEARCH RESULTS
Showing search results for "نیند"
Sher MATCHES FOR "نیند"
Sher
Qateel Shifai
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
ye sard raat ye aavaargii ye nii.nd kaa bojh
ham apne shahr me.n hote to ghar ga.e hote
Ummeed Fazli
Sher
judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa
Nasir Kazmi
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
so jaate hai.n footpath pe aKHbaar bichhaa kar
mazduur kabhii nii.nd kii golii nahii.n khaate
Munawwar Rana
Sher
aaj phir nii.nd ko aa.nkho.n se bichha.Dte dekhaa
aaj phir yaad ko.ii choT puraanii aa.ii
Iqbal Ashhar
Sher
Farhat Ehsas
Sher
Mirza Ghalib
Sher
muddato.n baa'd mayassar hu.aa maa.n kaa aa.nchal
muddato.n baa'd hame.n nii.nd suhaanii aa.ii
Iqbal Ashhar
Sher
sukuun de na sakii.n raahate.n zamaane kii
jo nii.nd aa.ii tire Gam kii chhaa.nv me.n aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
Munawwar Rana
Sher
muddat se KHvaab me.n bhii nahii.n nii.nd kaa KHayaal
hairat me.n huu.n ye kis kaa mujhe intizaar hai