SEARCH RESULTS
Showing search results for "و"
Sher MATCHES FOR "و"
Sher
Qateel Shifai
Sher
andaaz apnaa dekhte hai.n aa.ine me.n vo
aur ye bhii dekhte hai.n ko.ii dekhtaa na ho
Nizam Rampuri
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
Bashir Badr
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaa.n par KHudaa na ho
Unknown
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe.nge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
tumhaarii yaad me.n jiine kii aarzuu hai abhii
kuchh apnaa haal sambhaaluu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
tum parindo.n se ziyaada to nahii.n ho aazaad
shaam hone ko hai ab ghar kii taraf lauT chalo