SEARCH RESULTS
Showing search results for "وجود"
Sher MATCHES FOR "وجود"
Sher
hai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naaz
ahl-e-nazar samajhte hai.n us ko imaam-e-hind
Allama Iqbal
Sher
vajuud-e-zan se hai tasviir-e-kaa.enaat me.n ra.ng
isii ke saaz se hai zindagii kaa soz-e-daruu.n
Allama Iqbal
Sher
bikhre hu.e the log KHud apne vajuud me.n
insaa.n kii zindagii kaa ajab bandobast thaa
Ibrahim Ashk
Sher
adaa hu.aa na qarz aur vajuud KHatm ho gayaa
mai.n zindagii kaa dete dete suud KHatm ho gayaa
Faryad Aazar
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa
Babar Rehman Shah
Sher
mire vajuud ke andar hai ik qadiim makaan
jahaa.n se mai.n ye udaasii udhaar letii huu.n
Asima Tahir
Sher
bhare baazaar me.n baiThaa huu.n liye jins-e-vajuud
shart ye hai ki mirii KHaak kii qiimat dii jaa.e
Salim Saleem
Sher
meraa vajuud jazb hu.aa tere jism me.n
ab mujh ko apne jism ke andar talaash kar
Aliuddeen Naved
Sher
KHatm hone de mire saath hii apnaa bhii vajuud
tuu bhii ik naqsh KHaraabe kaa hai mar jaa mujh me.n
Musavvir Sabzwari
Sher
Anwar Sadeed
Sher
qatra na ho to bahr na aa.e vajuud me.n
paanii kii ek buu.nd samundar se kam nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
kar ke KHud apne saare subuuto.n ko mustarad
u.nglii uThaa rahaa huu.n mai.n apne vajuud par
Jahangeer nayab
Sher
tiraa vajuud gavaahii hai mere hone kii
mai.n apnii zaat se inkaar kis tarah kartaa
Farhat Shahzad
Sher
qaa.em kiyaa hai mai.n ne adam ke vajuud ko
duniyaa samajh rahii hai fanaa ho gayaa huu.n mai.n
Hafeez Jalandhari
Sher
miraa vajuud mirii ruuh ko pukaartaa hai
tirii taraf bhii chaluu.n to Thahar Thahar jaa.uu.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
KHudaa ne ga.D.h to diyaa aalam-e-vajuud magar
sajaavaTo.n kii binaa aurato.n kii zaat hu.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa