SEARCH RESULTS
Showing search results for "وضع"
Sher MATCHES FOR "وضع"
Sher
Allama Iqbal
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
mohabbate.n na rahii.n us ke dil me.n mere liye
magar vo miltaa thaa ha.ns kar ki vaz.a-daar jo thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ai daaG apnii vaz.a hamesha yahii rahii
ko.ii khi.nchaa khi.nche ko.ii ham se milaa mile
Dagh Dehlvi
Sher
ham-nafasaan-e-vaz.a-daar mustami.aan-e-burd-baar
ham to tumhaare vaaste ek vabaal ho ga.e
Jaun Eliya
Sher
jo harf-e-haq kii himaayat me.n ho vo gum-naamii
hazaar vaz.a ke naam-o-nishaa.n se achchhii hai
Iftikhar Arif
Sher
aazaadii kii dhuume.n hai.n shohre hai.n taraqqii ke
har gaam hai paspaa.ii har vaz.a Gulaamaana
Majnoon Gorakhpuri
Sher
aadmii ban ke miraa aadamiyo.n me.n rahnaa
ek alag vaz.a hai darveshii o sultaanii se
Anwar Shuoor
Sher
nau-giraftaar-e-mohabbat huu.n mirii vaz.a se tum
itnaa ghabraa.o na pyaare mai.n sambhal jaa.uu.ngaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kuchh ehtiraam bhii kar Gam kii vaz.a-daarii kaa
giraa.n hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
'riyaaz' tauba na TuuTe na mai-kada chhuuTe
zabaa.n kaa paas rahe vaz.a kaa nibaah rahe
Riyaz Khairabadi
Sher
yuu.n aag me.n se bhaag nikalnaa nazar bachaa
apne ta.ii.n to vaz.a na bhaa.ii sharaar kii
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
haa.n vaz-e-ehtiyaat kaa qaa.il nahii.n huu.n me.n
jo zaKHm hai jigar me.n chhupaane se mai.n rahaa
Shahid Kamal
Sher
khaa ga.ii ahl-e-havas kii vaz.a ahl-e-ishq ko
baat kis kii rah ga.ii ko.ii aduu sachchaa na ham
Natiq Gulavthi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
ham bandagaan-e-ishq kaa maslak niraalaa hai
kaafir kii is me.n vaz.a na dii.n-daar kii tarah