SEARCH RESULTS
Showing search results for "وقت_خطاب"
Sher MATCHES FOR "وقت_خطاب"
Sher
vaqt lafzo.n se banaa.ii hu.ii chaadar jaisaa
o.Dh letaa huu.n to sab KHvaab hunar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
lagtaa hai itnaa vaqt mire Duubne me.n kyuu.n
andaaza mujh ko KHvaab kii gahraa.ii se hu.aa
Zafar Iqbal
Sher
shorish-e-vaqt hu.ii vaqt kii raftaar me.n gum
din guzarte hai.n tire KHvaab ke aasaar me.n gum
Saeed Ahmad
Sher
vahii KHvaab hai vahii baaG hai vahii vaqt hai
magar is me.n us ke baGair jii nahii.n lag rahaa
Idris Babar
Sher
Javed Shaheen
Sher
hai ye ummiid mire KHvaab me.n aap aa.e.nge
ek dar aa.nkh kaa rakhtaa huu.n khulaa raat ke vaqt
Asim Wasti
Sher
mai.n apne vaqt me.n apnii ridaa me.n rahtaa huu.n
aur apne KHvaab kii aab-o-havaa me.n rahtaa huu.n
Ali Akbar Abbas
Sher
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko KHvaab o KHayaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
is KHaanumaa.n-KHaraab ko bhii de miyaa.n bataa
hai.n kaun kaun se tire rahne ke ghar ke vaqt
Waliullah Muhib
Sher
zindagii yuu.n to nayaa lafz nahii.n hai lekin
vaqt ke saath na.e is ke ma'aanii nikle
Vibha Jain 'Khwaab'
Sher
Ada Jafarey
Sher
masruur-o-mutma.in hai.n bahut taajiraan-e-vaqt
kyaa zindagii ke KHvaab bhii niilaam ho ga.e
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
tuu jis ke KHvaab me.n aayaa ho vaqt-e-sub.h sanam
namaaz-e-sub.h ko kis tarah vo qazaa na kare
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vaqt be-mehr hai is fursat-e-kamyaab me.n tum
merii aa.nkho.n me.n raho KHvaab-e-mujassam kii tarah
Zia Jalandhari
Sher
muddato.n ghaav kiye jis ke badan par ham ne
vaqt aayaa to usii KHvaab ko talvaar kiyaa