SEARCH RESULTS
Showing search results for "ٹھٹھرے"
Sher MATCHES FOR "ٹھٹھرے"
Sher
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
KHushii kii aarzuu kyaa dil me.n Thahre
tire Gam ne biThaa rakkhe hai.n pahre
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
Sibt Ali Saba
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
saahil se sunaa karte hai.n lahro.n kii kahaanii
ye Thahre hu.e log baGaavat nahii.n karte
Khursheed Akbar
Sher
ham kisii dar pe na ThiTke na kahii.n dastak dii
saik.Do.n dar the mirii jaa.n tire dar se pahle
Ibn e Insha
Sher
unhe.n Thahre samundar ne Duboyaa
jinhe.n tuufaa.n kaa andaazaa bahut thaa
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
raat bechain sii sardii me.n ThiThurtii hai bahut
din bhii har roz sulagtaa hai tirii yaado.n se
Amit Sharma Meet
Sher
kisii ne raah kaa patthar hamii.n ko Thahraayaa
ye aur baat ki phir aa.iina hamii.n Thahre
Faragh Rohvi
Sher
shab kii shab ko.ii na sharminda-e-ruKHsat Thahre
jaane vaalo.n ke liye sham.e.n bujhaa dii jaa.e.n
Abbas Tabish
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
daad-o-tahsiin kii bolii nahii.n tafhiim kaa naqd
shart kuchh to mire bikne kii munaasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Sher
saKHt sardii me.n ThiThurtii hai bahut ruuh mirii
jism-e-yaar aa ki bechaarii ko sahaaraa mil jaa.e
Farhat Ehsas
Sher
vahii qaatil vahii shaahid vahii munsif Thahre
aqrabaa mere kare.n qatl kaa da.avaa kis par