SEARCH RESULTS
Showing search results for "پاسبان_کوئے_دوست"
Sher MATCHES FOR "پاسبان_کوئے_دوست"
Sher
dil-dukhe ro.e hai.n shaayad is jagah ai kuu-e-dost
KHaak kaa itnaa chamak jaanaa zaraa dushvaar thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
saudaa-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai
majnuu.n kaa ko.ii dost fasaana-nigaar thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
'aasim' vo ko.ii dost nahii.n thaa jo Thertaa
duniyaa thii apne kaam se aage nikal ga.ii
Liyaqat Ali Aasim
Sher
apno.n ne nazar pherii to dil tuu ne diyaa saath
duniyaa me.n ko.ii dost mire kaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko.ii ham-saaya na ho aur paasbaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
laakh chaahaa ki ho pahchaan ko.ii apnii bhii
kaash ham aap ke hii naam se jaane jaate
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
Jamal Abbas Fahmi
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sahil Ahmad
Sher
yaad aa.ii hai to phir TuuT ke yaad aa.ii hai
ko.ii guzrii hu.ii manzil ko.ii bhuulii hu.ii dost
Ahmad Faraz
Sher
guzar gayaa hai ko.ii lamha-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahchaan bhii na paayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
'kashfii' ko ko.ii puuchhne aa.e to dosto
kahnaa ki chand sher sunaa kar chale ga.e
Kashfi Multani
Sher
ye havaa.e.n u.D na jaa.e.n le ke kaaGaz kaa badan
dosto mujh par ko.ii patthar zaraa bhaarii rakho