SEARCH RESULTS
Showing search results for "پذیرائی"
Sher MATCHES FOR "پذیرائی"
Sher
kuu-ba-kuu phail ga.ii baat shanaasaa.ii kii
us ne KHushbuu kii tarah merii paziiraa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
ai KHvaab-e-paziiraa.ii tuu kyuu.n mirii aa.nkho.n me.n
andesha-e-duniyaa kii ta.abiir uThaa laayaa
Azm Bahzad
Sher
phuul ko chuum ke gulzaar banaa saktii hai
aisii ik baat hai ho.nTo.n kii paziiraa.ii me.n
Shahnawaz Farooqi
Sher
is qadar uu.nchii hu.ii diivaar-e-nafrat har taraf
aaj har insaa.n se insaa.n kii paziiraa.ii ga.ii
Sabir Adeeb
Sher
ye kaar-e-mohabbat bhii kyaa kaar-e-mohabbat hai
ik harf-e-tamannaa hai aur us kii paziiraa.ii
Khurshid Rabbani
Sher
use baam-e-paziiraa.ii pe kaise chho.D duu.n ab
yahii tanhaa.ii to mere liye sii.Dhii banii hai
Azhar Adeeb
Sher
barg-e-aavaara ko ab apnaa pata yaad nahii.n
kyaa hu.aa tez havaa.o.n kii paziiraa.ii me.n
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
mai.n jaantaa huu.n mujhe mujh se maa.ngne vaale
paraa.ii chiiz kaa jo log haal karte hai.n
Azhar Faragh
Sher
jo ho sakaa na miraa us ko bhuul jaa.uu.n mai.n
paraa.ii aag me.n kyuu.n u.ngliyaa.n jalaa.uu.n mai.n
Anvar Mahmood Khalid
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
aGyaar ko gul-pairahanii ham ne ataa kii
apne liye phuulo.n kaa kafan ham ne banaayaa
Nushur Wahidi
Sher
aql har baar dikhaatii thii jale haath apne
dil ne har baar kahaa aag paraa.ii le le
Ahmad Faraz
Sher
kahte hai.n Gazal qaafiya-paimaa.ii hai 'naasir'
ye qaafiya-paimaa.ii zaraa kar ke to dekho