SEARCH RESULTS
Showing search results for "پراگندہ"
Sher MATCHES FOR "پراگندہ"
Sher
paidaa kahaa.n hai.n aise paraaganda-tab.a log
afsos tum ko 'miir' se sohbat nahii.n rahii
Meer Taqi Meer
Sher
husn har haal me.n hai husn paraaganda naqaab
ko.ii parda hai na chilman ye ko.ii kyaa jaane
Arsh Malsiyani
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
Allama Iqbal
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
javaanii kyaa hu.ii ik raat kii kahaanii hu.ii
badan puraanaa hu.aa ruuh bhii puraanii hu.ii
Obaidullah Aleem
Sher
nikaal laayaa huu.n ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se pi.njra nikaalnaa hai
Umair Najmi
Sher
sarhade.n achchhii ki sarhad pe na ruknaa achchhaa
sochiye aadmii achchhaa ki parinda achchhaa
Irfan Siddiqi
Sher
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na.ii kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
vahii charaaG bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
Bashir Badr
Sher
kabhii kabhii to kisii ajnabii ke milne par
bahut puraanaa ko.ii silsila nikaltaa hai
Manzoor Hashmi
Sher
chehre se jhaa.D pichhle baras kii kuduurate.n
diivaar se puraanaa calender utaar de