SEARCH RESULTS
Showing search results for "پردیسی"
Sher MATCHES FOR "پردیسی"
Sher
zindagii kam pa.Dhe pardesii kaa KHat hai 'ibrat'
ye kisii tarah pa.Dhaa jaa.e na samjhaa jaa.e
Ibrat Machlishahri
Sher
un kii nigaah-e-naaz kii gardish ke saath saath
mahsuus ye hu.aa ki zamaana badal gayaa
Shaukat Pardesi
Sher
ai inqalaab-e-nau tirii raftaar dekh kar
KHud ham bhii sochte hai.n ki ab tak kahaa.n rahe
Shaukat Pardesi
Sher
shariik-e-dard nahii.n jab ko.ii to ai 'shaukat'
KHud apnii zaat kii bechaargii Ganiimat hai
Shaukat Pardesi
Sher
Shaukat Pardesi
Sher
qariib se use dekho to vo bhii tanhaa hai
jo duur se nazar aataa hai anjuman yaaro
Shaukat Pardesi
Sher
nigaah ko bhii mayassar hai dil kii gahraa.ii
ye tarjumaan-e-mohabbat hai be-zabaa.n na kaho
Shaukat Pardesi
Sher
Shaukat Pardesi
Sher
vo aa.nkhe.n jo ab ajnabii ho ga.ii hai.n
bahut duur tak un me.n paayaa gayaa huu.n
Shaukat Pardesi
Sher
zindagii se ko.ii maanuus to ho le pahle
zindagii KHud hii sikhaa degii use kaam kii baat
Shaukat Pardesi
Sher
kyaa ba.Dhegaa vo tasavvur kii hado.n se aage
sub.h ko dekh ke yaad aa.e jise shaam kii baat
Shaukat Pardesi
Sher
havaa.e.n rok na paa.ii.n bha.nvar Dubo na sake
vo ek naav jo azm-e-safar ke baa'd chalii
Shaukat Pardesi
Sher
is faisle pe luT ga.ii duniyaa-e-e.atibaar
saabit hu.aa gunaah gunahgaar ke baGair