SEARCH RESULTS
Showing search results for "پرسا"
Sher MATCHES FOR "پرسا"
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
itne hijaabo.n par to ye aalam hai husn kaa
kyaa haal ho jo dekh le.n parda uThaa ke ham
Jigar Moradabadi
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
na sataa.ish kii tamannaa na sile kii parvaa
gar nahii.n hai.n mire ash.aar me.n ma.anii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kashmiir kii vaadii me.n be-parda jo nikle ho
kyaa aag lagaa.oge barfiilii chaTaano.n me.n
Saghar Azmi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
javaa.n hone lage jab vo to ham se kar liyaa parda
hayaa yak-laKHt aa.ii aur shabaab aahista aahista
Ameer Minai
Sher
Azhar Faragh
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
allaah allaah husn kii ye parda-daarii dekhiye
bhed jis ne kholnaa chaahaa vo diivaana hu.aa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Gazal ke parde me.n be-parda KHvaahishe.n likhnaa
na aayaa ham ko barahana guzaarishe.n likhnaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
tum jise yaad karo phir use kyaa yaad rahe
na KHudaa.ii kii ho parvaa na KHudaa yaad rahe