SEARCH RESULTS
Showing search results for "پرسش"
Sher MATCHES FOR "پرسش"
Sher
haal biimaar kaa puuchho to shifaa miltii hai
ya.anii ik kalma-e-pursish bhii davaa hotaa hai
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
pursish-e-haal bhii itnii ki mai.n kuchh kah na sakuu.n
is takalluf se karam ho to sitam hotaa hai
Kamal Ahmad Siddiqi
Sher
pursish-e-haal kii fursat tumhe.n mumkin hai na ho
pursish-e-haal tabii.at ko gavaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
pursish-e-haal pe hai KHaatir-e-jaanaa.n maa.il
jur.at-e-koshish-e-iz.haar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
samajh ke karte hai.n baazaar me.n vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kyaa kahiye
Mirza Ghalib
Sher
is pursish-e-karam pe to aa.nsuu nikal pa.De
kyaa tuu vahii KHuluus saraapaa hai aaj bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
aamaal kii pursish na kar ai daavar-e-mahshar
majbuur to muKHtaar kabhii ho nahii.n saktaa
Josh Malsiani
Sher
Naseem Shahjahanpuri
Sher
pursish ko agar ho.nT tumhaare nahii.n hilte
kyaa qatl ko bhii haath tumhaaraa nahii.n uThtaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
pursish-e-haal se Gam aur na ba.Dh jaa.e kahii.n
ham ne is Dar se kabhii haal na puuchhaa apnaa
Nashtar Khaanqahi
Sher
kyuu.n merii buud-o-baash kii pursish hai har gha.Dii
tum to kaho ki rahte ho do do pahar kahaa.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
rasm-e-jahaa.n na chhuuT sakii tark-e-ishq se
jab mil ga.e to pursish-e-haalaat ho ga.ii
Saleem Ahmed
Sher
aayaa hai ko.ii pursish-e-ahvaal ke liye
pesh aa.nsu.o.n kii aap bhii sauGaat kiijiye
Anwar Sabri
Sher
Ashk Niyazi
Sher
Khairuddin Yas
Sher
Mirza Ghalib
Sher
zindagii apnaa safar tai to karegii lekin
ham-safar aap jo hote to mazaa aur hii thaa