SEARCH RESULTS
Showing search results for "پری_زاد"
Sher MATCHES FOR "پری_زاد"
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n mai.n apne parii-zaad ko 'hasan'
shiisha jo ek dil kaa mire hai so chuur hai
Meer Hasan
Sher
shab-e-jamaal salaamat rahe.n tire parii-zaad
jinhe.n mai.n KHvaab sunaataa huu.n raqs kartaa huu.n
Anjum Saleemi
Sher
raato.n kii nii.nd ek parii-zaad le u.Dii
din kaa sukuun fikr-e-ma.iishat me.n kho gayaa
Afzal Ali Afzal
Sher
ai parii-zaad jo tuu raqs kare mastii me.n
daana-e-taak har ik paa.nv me.n ghu.nghruu ho jaa.e
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
aap hii par nahii.n diivaana-pan apnaa mauquuf
aur bhii chand parii-zaad hai.n achchhe achchhe
Hatim Ali Mehr
Sher
jis parii par mar miTe the vo parii-zaadii na thii
ba.ad me.n jaanaa ki us ke dono.n par hote the ham
Faizan Hashmi
Sher
vo mujh ko Dastaa hai par zahr chho.Dtaa hii nahii.n
lihaaz rakhtaa hai kuchh aastii.n me.n palne kaa
Meraj Naqvi
Sher
vaqt kahaa.n rukaa bhalaa par ye kise gumaan thaa
umr kii zad me.n aa.egaa tujh saa parii-jamaal bhii
Akram Mahmud
Sher
'aKHtar'-e-zaar bhii ho mus.haf-e-ruKH par shaidaa
faal ye nek hai qur.aan se ham dekhte hai.n
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
vo zahr-haa-e-malaamat bhii ha.ns ke pii jaataa
zaraa sii baat kaa barso.n malaal bhii rakhtaa
Musa Majrooh
Sher
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
talKH kahte the lo ab pii ke to bolo zaahid
haath aa.e idhar ustaad mazaa hai ki nahii.n
Dattatriya Kaifi
Sher
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
mu.nh par naqaab-e-zard har ik zulf par gulaal
holii kii shaam hii to sahar hai basant kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
yaad ban ke pahluu me.n mausamo.n ke bistar par
karvaTe.n badaltii hai.n mehrbaaniyaa.n saarii