SEARCH RESULTS
Showing search results for "پوش"
Sher MATCHES FOR "پوش"
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
tere KHush-posh faqiiro.n se vo milte to sahii
jo ye kahte hai.n vafaa pairhan-e-chaak me.n hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
hamaarii saada-mizaajii pe rashk karte hai.n
vo saada-posh jo be-intihaa ra.ngiile hai.n
Sultan Akhtar
Sher
chehro.n pe zar-posh andhere phaile hai.n
ab jiine ke Dha.ng ba.De hii mah.nge hai.n
Ambar Bahraichi
Sher
aa.nsuu hai.n kafan-posh sitaare hai.n kafan-ra.ng
lo chaak kiye dete hai.n daamaan-e-sahar ham
Siraj Lakhnavi
Sher
ko.ii hai surKH-posh ko.ii zard-posh hai
aa dekh bazm me.n ki hu.ii hai bahaar-e-jaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ik mauj-e-Gam-gaziidgii se hai.n niDhaal sab
aa.iina-e-durust me.n sab hii saraab-posh
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
mai.n chaahtaa thaa ki us ko gulaab pesh karuu.n
vo KHud gulaab thaa us ko gulaab kyaa detaa
Afzal Allahabadi
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
hamaare pesh-e-nazar manzile.n kuchh aur bhii thii.n
ye haadsa hai ki ham tere paas aa pahu.nche
Shahzad Ahmad
Sher
justujuu karnii har ik amr me.n naadaanii hai
jo ki peshaanii pe likkhii hai vo pesh aanii hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
maayuusii-e-ma.aal-e-mohabbat na puuchhiye
apno.n se pesh aa.e hai.n begaanagii se ham