SEARCH RESULTS
Showing search results for "پیاس"
Sher MATCHES FOR "پیاس"
Sher
shadiid pyaas thii phir bhii chhu.aa na paanii ko
mai.n dekhtaa rahaa dariyaa tirii ravaanii ko
Shahryar
Sher
bahut Guruur hai dariyaa ko apne hone par
jo merii pyaas se uljhe to dhajjiyaa.n u.D jaa.e.n
Rahat Indori
Sher
shikva ko.ii dariyaa kii ravaanii se nahii.n hai
rishta hii mirii pyaas kaa paanii se nahii.n hai
Shahryar
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
piitaa huu.n jitnii utnii hii ba.Dhtii hai tishnagii
saaqii ne jaise pyaas milaa dii sharaab me.n
Unknown
Sher
bhiigii miTTii kii mahak pyaas ba.Dhaa detii hai
dard barsaat kii buu.ndo.n me.n basaa kartaa hai
Marghoob Ali
Sher
ho.nTo.n ko roz ik na.e dariyaa kii aarzuu
le jaa.egii ye pyaas kii aavaargii kahaa.n
Waseem Barelvi
Sher
Saqi Faruqi
Sher
pyaas kahtii hai chalo ret nicho.Dii jaa.e
apne hisse me.n samundar nahii.n aane vaalaa
Meraj Faizabadi
Sher
le ga.ii.n duur bahut duur havaa.e.n jis ko
vahii baadal thaa mirii pyaas bujhaane vaalaa
Iqbal Ashhar
Sher
vo mirii ruuh kii uljhan kaa sabab jaantaa hai
jism kii pyaas bujhaane pe bhii raazii niklaa
Saqi Faruqi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hazaar tarah kii mai pii hazaar tarah ke zahr
na pyaas hii bujhii apnii na hausla niklaa