SEARCH RESULTS
Showing search results for "پیڑو"
Sher MATCHES FOR "پیڑو"
Sher
ye soch ke maa.n baap kii KHidmat me.n lagaa huu.n
is pe.D kaa saayaa mire bachcho.n ko milegaa
Munawwar Rana
Sher
pe.D ke kaaTne vaalo.n ko ye maaluum to thaa
jism jal jaa.e.nge jab sar pe na saaya hogaa
Kaifi Azmi
Sher
vo jis kii chhaa.nv me.n pachchiis saal guzre hai.n
vo pe.D mujh se ko.ii baat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ye ek pe.D hai aa is se mil ke ro le.n ham
yahaa.n se tere mire raaste badalte hai.n
Bashir Badr
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
puuchh rahe hai.n mujh se pe.Do.n ke saudaagar
aab-o-havaa kaise zahriilii ho jaatii hai
Alam Khursheed
Sher
zaraa chhu.aa thaa ki bas pe.D aa giraa mujh par
kahaa.n KHabar thii ki andar se khokhlaa hai bahut
Rajinder Manchanda Bani
Sher
Hammad Niyazi
Sher
mai.n ne ye soch ke bo.e nahii.n KHvaabo.n ke daraKHt
kaun jangal me.n uge pe.D ko paanii degaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
pe.D ke niiche zaraa sii chhaa.nv jo us ko milii
so gayaa mazduur tan par boriyaa o.Dhe hu.e
Sharib Mauranwi
Sher
mausam-e-zard me.n ek dil ko bachaa.uu.n kaise
aisii rut me.n to ghane pe.D bhii jha.D jaate hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
vo pe.D to nahii.n thaa ki apnii jagah rahe
ham shaaKH to nahii.n the magar phir bhii kaT ga.e
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
be-samar pe.Do.n ko chuume.nge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye KHizaa.n be-dast-o-paa rah jaa.egii