SEARCH RESULTS
Showing search results for "چرنے"
Sher MATCHES FOR "چرنے"
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
duniyaa ke jo maze hai.n hargiz vo kam na ho.nge
charche yuu.nhii rahe.nge afsos ham na ho.nge
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
rail dekhii hai kabhii siine pe chalne vaalii
yaad to ho.nge tujhe haath hilaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kaarvaa.n ke chalne se kaarvaa.n ke rukne tak
manzile.n nahii.n yaaro raaste badalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
Munawwar Rana
Sher
apnii miTTii hii pe chalne kaa saliiqa siikho
sa.ng-e-marmar pe chaloge to phisal jaa.oge
Iqbal Azeem
Sher
dar-o-diivaar pe shakle.n sii banaane aa.ii
phir ye baarish mirii tanhaa.ii churaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
hausla kis me.n hai yuusuf kii KHariidaarii kaa
ab to mah.ngaa.ii ke charche hai.n zuleKHaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
ye duniyaa nafrato.n ke aaKHrii stage pe hai
ilaaj is kaa mohabbat ke sivaa kuchh bhii nahii.n hai
Charan Singh Bashar
Sher
utar ke naav se bhii kab safar tamaam hu.aa
zamii.n pe paa.nv dharaa to zamiin chalne lagii
Shakeb Jalali
Sher
Bashir Badr
Sher
sambhal ke chalne kaa saaraa Guruur TuuT gayaa
ik aisii baat kahii us ne la.Dkha.Daate hu.e
Azhar Inayati
Sher
chalne kii nahii.n aaj ko.ii ghaat kisii kii
sun.ne ke nahii.n vasl me.n ham baat kisii kii