SEARCH RESULTS
Showing search results for "چشم_پر_خمار"
Sher MATCHES FOR "چشم_پر_خمار"
Sher
chashm pur-nam zulf aashufta nigaahe.n be-qaraar
is pashiimaanii ke sadqe mai.n pashiimaa.n ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
aasmaano.n ke khule baab kise dikhte hai.n
chashm-e-pur-aab ke girdaab kise dikhte hai.n
Poonam Meera
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
ashko.n ne gir ke KHaak pe miTTii KHaraab kii
kyaa kyaa ha.nsii u.Dii mirii chashm-e-pur-aab kii
Jaleel Manikpuri
Sher
majlis me.n raat girya-e-mastaa.n thaa tujh baGair
saaGar bharaa sharaab kaa chashm-e-pur-aab thaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Shah Naseer
Sher
dil thaamtaa ki chashm pe kartaa tirii nigaah
saaGar ko dekhtaa ki mai.n shiisha sambhaaltaa
Sanaullah Firaq
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
furaat-e-chashm pe hai karbalaa kii tuGyaanii
daruun-e-kuufa-e-dil iid karne aayaa huu.n
Tafzeel Ahmad
Sher
mai.n us kii chashm se aisaa giraa huu.n
mire rone pe ha.nstaa hai miraa dil
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aataa hai jii me.n saaqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luu.n tiraa lab-e-paimaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
Ishq Aurangabadi
Sher
chashm-e-sayyaad pe har lahza nazar rakhtaa hai
haa.e vo said jo kahne ko tah-e-daam nahii.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
tez rakhiyo sar-e-har-KHaar ko ai dasht-e-junuu.n
shaayad aa jaa.e ko.ii aabla-paa mere ba.ad