SEARCH RESULTS
Showing search results for "چھوڑو"
Sher MATCHES FOR "چھوڑو"
Sher
tum merii taraf dekhnaa chho.Do to bataa.uu.n
har shaKHs tumhaarii hii taraf dekh rahaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
phuul khile hai.n likhaa hu.aa hai to.Do mat
aur machal kar jii kahtaa hai chho.Do mat
Ameeq Hanafi
Sher
Anwar Masood
Sher
kahte na the ham 'dard' miyaa.n chho.Do ye baate.n
paa.ii na sazaa aur vafaa kiijiye us se
Khwaja Meer Dard
Sher
chho.Dnaa hai to na ilzaam lagaa kar chho.Do
kahii.n mil jaa.o to phir lutf-e-mulaaqaat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
jhuuTii ummiid kii u.nglii ko paka.Dnaa chho.Do
dard se baat karo dard se la.Dnaa chho.Do
Salman Akhtar
Sher
chaa.nd suuraj kii tarah tum bhii ho qudrat kaa khel
jaise ho vaise raho ban.naa biga.Dnaa chho.Do
Salman Akhtar
Sher
kaa.nTe kii tarah suukh ke rah jaa.oge 'alvii'
chho.Do ye Gazal-go.ii ye biimaarii burii hai
Mohammad Alvi
Sher
tum apne baare me.n kuchh der sochnaa chho.Do
to mai.n bataa.uu.n ki tum kis qadar akele ho
Waseem Barelvi
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
kaise kah duu.n ki mujhe chho.D diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
suuraj huu.n zindagii kii ramaq chho.D jaa.uu.ngaa
mai.n Duub bhii gayaa to shafaq chho.D jaa.uu.ngaa
Iqbal Sajid
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa