SEARCH RESULTS
Showing search results for "کتاب"
Sher MATCHES FOR "کتاب"
Sher
hame.n pa.Dhaa.o na rishto.n kii ko.ii aur kitaab
pa.Dhii hai baap ke chehre kii jhurriyaa.n ham ne
Meraj Faizabadi
Sher
kaaGaz me.n dab ke mar ga.e kii.De kitaab ke
diivaana be-pa.Dhe-likhe mash.huur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
tujhe kitaab se mumkin nahii.n faraaG ki tuu
kitaab-KHvaa.n hai magar saahib-e-kitaab nahii.n
Allama Iqbal
Sher
rahtaa thaa saamne tiraa chehra khulaa hu.aa
pa.Dhtaa thaa mai.n kitaab yahii har class me.n
Shakeb Jalali
Sher
kidhar se barq chamaktii hai dekhe.n ai vaa.iz
mai.n apnaa jaam uThaataa huu.n tuu kitaab uThaa
Jigar Moradabadi
Sher
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na.ii kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
ham ne avval se pa.Dhii hai ye kitaab aaKHir tak
ham se puuchhe ko.ii hotii hai mohabbat kaisii
Altaf Hussain Hali
Sher
kitaab-e-ishq me.n har aah ek aayat hai
par aa.nsu.o.n ko huruuf-e-muqatti.aat samajh
Umair Najmi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
bhulaa dii.n ham ne kitaabe.n ki us parii-ruu ke
kitaabii chehre ke aage kitaab hai kyaa chiiz
Nazeer Akbarabadi
Sher
khulii kitaab thii phuulo.n-bharii zamii.n merii
kitaab merii thii ra.ng-e-kitaab us kaa thaa
Wazir Agha
Sher
mai.n to thaa maujuud kitaab ke lafzo.n me.n
vo hii shaayad mujh ko pa.Dhnaa bhuul gayaa