SEARCH RESULTS
Showing search results for "کربلا"
Sher MATCHES FOR "کربلا"
Sher
zamiin jab bhii hu.ii karbalaa hamaare liye
to aasmaan se utraa KHudaa hamaare liye
Obaidullah Aleem
Sher
phir karbalaa ke baa'd dikhaa.ii nahii.n diyaa
aisaa ko.ii bhii shaKHs ki pyaasaa kahe.n jise
Munawwar Rana
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
vaqaar-e-KHuun-e-shahiidaan-e-karbalaa kii qasam
yaziid morcha jiitaa hai ja.ng haaraa hai
Divakar Rahi
Sher
taa-qayaamat zikr se raushan rahegii ye zamii.n
zulmato.n kii shaam me.n ik raushnii hai karbalaa
Nuzhat Abbasi
Sher
KHaak se hai KHaak ko ulfat ta.Daptaa huu.n 'aniis'
karbalaa ke vaaste mai.n karbalaa mere liye
Meer Anees
Sher
husain-ibn-e-alii karbalaa ko jaate hai.n
magar ye log abhii tak gharo.n ke andar hai.n
Shahryar
Sher
tuu saraapaa ajr ai zaahid mai.n sar-taa-paa gunaah
baaG-e-jannat terii KHaatir karbalaa mere liye
Meer Anees
Sher
mujhe vo chho.D kar jab se gayaa hai intihaa hai
rag-o-pai me.n fazaa-e-karbalaa hai intihaa hai
Tahir Adeem
Sher
kahii.n saliib kahii.n karbalaa nazar aa.e
jidhar nigaah uThe zaKHm saa nazar aa.e
Ameer Qazalbash
Sher
kyuu.n sakiina aur zainab is qadar KHaamosh hai.n
duur tak sahraa me.n dekho KHaamushii hai karbalaa
Nuzhat Abbasi
Sher
ye karbalaa hai nazr-e-balaa ham hu.e ki tum
naamuus-e-qaafila pe fidaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Sher
yahaa.n to roz na.ii aafato.n se paalaa hai
'husain' kitne ab aa.e.nge karbalaa ke liye
Ejaaz Ahamd
Sher
furaat-e-chashm pe hai karbalaa kii tuGyaanii
daruun-e-kuufa-e-dil iid karne aayaa huu.n
Tafzeel Ahmad
Sher
karbalaa hai ye galii kyaa jo nahii.n miltaa yaa.n
ek qatra bhii lab-e-KHushk ke tar karne ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nigaah o dil me.n vahii karbalaa kaa manzar thaa
mai.n tishna-lab thii mire saamne samundar thaa